Tuesday, 19 July 2011

jab kabhi unki tavajjo meiN kami By Sahir Lodhyanvi

jab kabhi unki tavajjo meiN kami

July 19, 2011

jab kabhi unki tavajjo meiN kami paayii gayii
az-sar-e-nau daastaan-e-shauq dohraayii gayii



bik gaye jab tere lab phir tujh ko kyaa shikvah agar
zindgaani baadah-o-saaGhar se bahlaaii gayii



ai Gham-e-duniyaa tujhe kyaa ‘ilm tere vaaste
kin bahaanoN se tab’eeyat raah par laayii gayii



ham kareiN tark-e-vafaa, acchhaa chalo yuuN hi sahii
aur agar tark-e-vafaa se bhi na rusvaaii gayii?



kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gham se bujh gaye
kaise kaise paikaroN ki shaan-e-zaibaayii gayii



dil kii dhaRkan meiN tawaazun aa chala hai, Khair ho
merii nazreiN bujhh gayiiN yaa terii raan’aaii gayii



un kaa Gham, un ka tasavvur, un ke shikve ab kahaaN
ab to ye baateiN bhi aie dil ho gayiiN aayii gayii



jurrat-e-insaaN pe go taadiib ke pahre rahe
fitrat-e-insaaN ko kab zanjeer pahnaaii gayii



arsa-e-hastee meiN ab tesha-zanoN kaa daur hai
rasm-e-changezii uThii to qaid-e-durraai gayi
i

No comments:

Post a Comment