Tuesday 19 July 2011

Aao Ke Koi Khwaab Bunein




aao k koi Khwaab buneiN, kal ke vaaste


varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki


Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil


taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakeiN






go hamse bhaagti rahii ye tez-gaam umr


KhwaaboN ke aasre pe kaTii hai tamaam umr






zulfoN ke Khwaab, hoNToN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab


mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab


tahzeeb-e-zindagii ke, faroGh-e-watan ke Khwaab


zindaa ke Khwaab, koocha-e-daar-o-rasan ke Khwaab






ye Khwaab hii to apni jawaanii ke paas the


ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the


ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai hayaat


yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat






aao k koi Khwaab buneiN kal ke vaaste


varnaa ye raat aaj ke sangeen daur kii


Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil


taa-umr phir na koii haseeN Khwaab bun sakeiN



No comments:

Post a Comment