Monday 18 July 2011

SAHIR LUDHYANVI Gazal TajMehal

Taj Teray Lian Mazhar e Ulfat hi Sahi..
Tuj Ko Is Wadye e Rangi say Aqidat hi Sahi.. 

Meray Mehboob Kahi'n Or Mila Kar Muj Say..

Bazmay Shahi Mein Gareebo'n Ka Guzar Kia Maani..
Sabt Jin Pay Ho'n Sitwat e Shahi Ke Nisha'n..
Us Pay Ulfat Bhari Rooho'n Ka Safar Kia Maani..

Meri Mehboob Pas e Parda e Tashheer e Wafa..

Tu Nay Sitwat e Sahi Ke Nishanaat Ko Tw Dekha Hota..
Murda Shaho'n Ke Maqabir Say Behalnay Wali..
Apnay Tareekh Makanaat Ko Tw Dekha Hota..

Inginat Logo Nay Dunia May Muhabat Ki Hai..
Kon Kehta Hai k Sadiq Na Thay Jazbay Un Ke..
Laikin Un Ke Lian Tashheer Ka Saman Nahi..
Kion Ke Wo Log Bhi Apni Hi Tarhan Muflis Thay..

Ye Emarat o Makabir Ye Faseelain Ye Hisar..
Mutlaq ul Hukam Shehanshanho'n Ke Azmat Ke Sato'n..
Seena e Dehar Ke Nasoor Hain, Kehna Nasoor..
Jazb Hai In Mein Tery meray Ajdad Ka Kho'n..

Meri Mehboob Unhain Bhi Tw Muhabbat Ho Gi..
Jin ki Sannayee Nay Bakhshi Hai Isay Shak e Jameel..
Un Ke Pyaro Ke Maqabir Rahay Be Nam o Namod..
Aj Tak Un Pay Jalayee Na Kisi Nay Qandeel..

Ye Chaman Zaar Ye Jamna Ka Kinara Ye Mehal..
Ye Munnakash Dar o Dewar, Ye Mehrab Ye Taaq..
Ik Shehanshah Nay Dolat Ka Sahara Lay Kar..
Hum Gareebo'n Ki Muhabbat Ka Uraya Hai Mazak..


Meri Mehboob Kahi Or Mila Kar Muj Say.......................




Poet: SAHIR LUDHYANVI

No comments:

Post a Comment