Tuesday 19 July 2011

Jageer



phir usi waadi-e-shaadaab meiN lauT aayaa houN
jismeiN pinhaaN mire KhwaaboN ki tarabgaaheiN haiN
mere ahbaab ke saamaan-e-ta’ayyush ke liye
shauKh seene haiN, jawaaN jism, haseeN baaheiN haiN

sabz khetoN meiN ye dubki hui dosheezaaeiN
inki shiryaanoN meiN kis kis ka lahoo jaarii hai
kis meiN jurrat hai ki is raaz ki tash_heer kare
sab ke lab par mirii haibat ka fusuuN taarii hai

haaye vo garm-o-dilaavez ubalte seene
jinse ham satwat-e-aabaa ka silaa lete haiN
jaane in marmariiN jismoN ko ye mariyal dahqaaN
kaise in teerah gharoNdoN meiN janam dete haiN

ye lahakte hue paude, ye damakte hue khet
pahle ajdaad ki jaageer thii, ab mere haiN
ye charaagaah, ye rewaR ye maweshi ye kisaan
sab-ke-sab mere haiN, sab mere haiN, sab mere haiN!

inki mehnat bhi mirii, haasil-e-mehnat bhi miraa
inke baazu bhi mire, quwwat-e-baazu bhi mirii
maiN KhadawaNd houN is wus’at-e-be-paayaaN kaa
mauj-e-aariz bhi mirii, nakhat-e-gesuu bhi mirii

maiN un ajdaad ka betaa houN jinhoN ne paiham
ajnabii qaum ke saaye ki himaayat kii hai
Ghadr ki saa’at-e-naapaak se lekar ab tak
har kaRe waqt meiN sarkaar kii Khidmat kii hai

Khaak par reiNgne waale ye fasurdaa DhaaNche
inki nazreiN kabhii talwaar banii haiN na baneiN
inki Ghairat pe har ik haath jhapaT saktaa hai
inke abruu kii kamaaneiN na tanii haiN na taneiN

haaye ye shaam, ye jharne, ye shafaq kii laalii
maiN in aasoodaa fazaaoN meiN zaraa jhoom na louN
wo dabe paaNv udhar kaun chalii jaatii hai
baRh ke us shauKh ke tarshe hue lab choom na louN!

No comments:

Post a Comment